ulfat ki rasm-o-rah se itna wo be-parwa na tha
ulfat kī rasm-o-rāh se itnā vo be-parvā na thā
kal ajnabī ban kar milā pahle to vo aisā na thā
is saal ke sailāb se saare kināre kaT ga.e
dariyā ke pech-o-tāb kā sāhil ko andāza na thā
jab qurbatoñ kī chhāoñ meñ utre hayā ke qāfile
baḌhte qadam ḳhud ruk ga.e aage koī rasta na thā
palkoñ kī chhāgal toḌ kar rizq-e-zamīñ bante rahe
in āñsuoñ ke vāste tark-e-vatan achchhā na thā
kyā jabr-e-fitrat kā gila jab 'ahd ho nā-mehrbāñ
dariyā meñ baaḌh aa.ī vahāñ bādal jahāñ barsā na thā
'tālib' darīcha zehn kā jab zaat ke andar khulā
palkeñ idhar jhuk kar uThīñ aur duur tak sahrā na thā
ulfat ki rasm-o-rah se itna wo be-parwa na tha
kal ajnabi ban kar mila pahle to wo aisa na tha
is sal ke sailab se sare kinare kaT gae
dariya ke pech-o-tab ka sahil ko andaza na tha
jab qurbaton ki chhaon mein utre haya ke qafile
baDhte qadam KHud ruk gae aage koi rasta na tha
palkon ki chhagal toD kar rizq-e-zamin bante rahe
in aansuon ke waste tark-e-watan achchha na tha
kya jabr-e-fitrat ka gila jab 'ahd ho na-mehrban
dariya mein baDh aai wahan baadal jahan barsa na tha
'talib' daricha zehn ka jab zat ke andar khula
palken idhar jhuk kar uThin aur dur tak sahra na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.