Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat na karunga ab kisi ki

Rind Lakhnavi

ulfat na karunga ab kisi ki

Rind Lakhnavi

MORE BYRind Lakhnavi

    ulfat na karūñgā ab kisī

    dushman huā jis se dostī

    hālat kahūñ apnī be-ḳhudī

    dil de ke suno jo mere

    avval avval bhalā.iyāñ kiiñ

    āḳhir āḳhir bahut burī

    masrūf hai sīna-kūbī meñ dil

    aatī hai sadā dhaḌā-dhaḌī

    ulfat pe terī ḳhātma hai

    ab le le qasam āshiqī

    karte rahe iḳhtirā.a aaphī

    taqlīd na kabhī kisī

    rone pe mere hañste haiñ aap

    hañs lījiye baat hai hañsī

    kyūñkar na farefta ho insāñ

    tan huur shakl hai parī

    shīrīñ-dahno nahīñ hai zebā

    tum bāteñ karo na phīkī phīkī

    dīvāna huā huuñ ik parī

    taqsīr ye hai to vāqa.ī

    be-yār hai dil kabāb-e-sāqī

    taklīf na kar mai-kashī

    āñkheñ laḌīñ tujh se maiñ huā qatl

    in turkoñ ne jañg-e-zargarī

    karne do badī jo karte haiñ ġhair

    suntā nahīñ 'rind' vo kisī

    ulfat na karunga ab kisi ki

    dushman hua jis se dosti ki

    haalat kahun apni be-KHudi ki

    dil de ke suno jo mere ji ki

    awwal awwal bhalaiyan kin

    aaKHir aaKHir bahut buri ki

    masruf hai sina-kubi mein dil

    aati hai sada dhaDa-dhaDi ki

    ulfat pe teri KHatma hai

    ab le le qasam tu aashiqi ki

    karte rahe iKHtiraa aaphi

    taqlid na ki kabhi kisi ki

    rone pe mere hanste hain aap

    hans lijiye baat hai hansi ki

    kyunkar na farefta ho insan

    tan hur ka shakl hai pari ki

    shirin-dahno nahin hai zeba

    tum baaten karo na phiki phiki

    diwana hua hun ek pari ka

    taqsir ye hai to waqai ki

    be-yar hai dil kabab-e-saqi

    taklif na kar tu mai-kashi ki

    aankhen laDin tujh se main hua qatl

    in turkon ne jang-e-zargari ki

    karne do badi jo karte hain ghair

    sunta nahin 'rind' wo kisi ki

    Source:

    Deewan-e-Rind(Guldast-e-ishq) (Rekhta Website) (Pg. 200)

    • Author: Rind Lakhnavi
      • Edition: 1931
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1930
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now