Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uljha rahta hun aksar andeshon mein

Waqar Tahiri

uljha rahta hun aksar andeshon mein

Waqar Tahiri

MORE BYWaqar Tahiri

    uljhā rahtā huuñ aksar andeshoñ meñ

    naam likhā hai merā bhī darveshoñ meñ

    ghar kar bhī āḳhir kyā milnā hai mujhe

    kyoñ uljhūñ ulTe sīdhe updeshoñ meñ

    patthar ab bhī jhuk ke salāmī dete haiñ

    dhaar nahīñ baaqī hai yaaro teshoñ meñ

    vaqt ne āḳhir buzdil kahlā Daalā

    ham bhī gine jaate the kabhī nareshoñ meñ

    ghar ke log duā.eñ karte rahte haiñ

    maiñ phirtā rahtā huuñ desh-videshoñ meñ

    saaya pīpal hai dam lene ko 'vaqār'

    mahak nirālī hai ghanere keshoñ meñ

    uljha rahta hun aksar andeshon mein

    nam likha hai mera bhi darweshon mein

    ghar ja kar bhi aaKHir kya milna hai mujhe

    kyon uljhun ulTe sidhe updeshon mein

    patthar ab bhi jhuk ke salami dete hain

    dhaar nahin baqi hai yaro teshon mein

    waqt ne aaKHir buzdil kahla hi Dala

    hum bhi gine jate the kabhi nareshon mein

    ghar ke log duaen karte rahte hain

    main phirta rahta hun desh-wideshon mein

    saya pipal sa hai dam lene ko 'waqar'

    mahak nirali si hai ghanere keshon mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now