Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulTi paDti hai har ek kaam ki tadbir abas

Syed Masood Hasan Masood

ulTi paDti hai har ek kaam ki tadbir abas

Syed Masood Hasan Masood

MORE BYSyed Masood Hasan Masood

    ulTī paḌtī hai har ik kaam tadbīr abas

    mujh se bargashta huī hai mirī taqdīr abas

    jo muqaddar meñ likhā hai nahīñ miTne vaalā

    aah be-kār hai aur nāla-e-shabgīr abas

    koī baaqī nahīñ fariyād sunñe vaalā

    shor kartī hai mire paañv zanjīr abas

    shauq kahtā hai mirā mujh se jo honā hai vo ho

    qatl karne meñ hai jallād ko tāḳhīr abas

    kah diyā uqda-e-tadīr khulnā dushvār

    dil samajh le ḳhalish-e-nāḳhun-e-tadbīr abas

    aap kuchh mujh se ab ai hazrat-e-nāseh na kaheñ

    guftugū aap be-kār hai taqrīr abas

    jāñ-setāñ tīr-e-nazar yuuñ bhī hai us 'mas.ūd'

    khīñchtā hai vo mire qatl pe shamshīr abas

    ulTi paDti hai har ek kaam ki tadbir abas

    mujh se bargashta hui hai meri taqdir abas

    jo muqaddar mein likha hai nahin miTne wala

    aah be-kar hai aur nala-e-shabgir abas

    koi baqi nahin fariyaad ka sunne wala

    shor karti hai mere panw ki zanjir abas

    shauq kahta hai mera mujh se jo hona hai wo ho

    qatl karne mein hai jallad ko taKHir abas

    kah diya uqda-e-tadir ka khulna dushwar

    dil samajh le KHalish-e-naKHun-e-tadbir abas

    aap kuchh mujh se ab ai hazrat-e-naseh na kahen

    guftugu aap ki be-kar hai taqrir abas

    jaan-setan tir-e-nazar yun bhi hai us ka 'masud'

    khinchta hai wo mere qatl pe shamshir abas

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now