Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umangen dil mein hon sahra bhi aalishan lagta hai

Deepak Danish

umangen dil mein hon sahra bhi aalishan lagta hai

Deepak Danish

MORE BYDeepak Danish

    umañgeñ dil meñ hoñ sahrā bhī ālīshān lagtā hai

    bujhe dil ko sajī mahfil dar vīrān lagtā hai

    ho koī ham-safar aisā jo dil ko ham-nafas guzre

    isī hasrat pe har lamha mujhe qurbān lagtā hai

    yaqīnan hai ḳhabar meñ aaj rab be-zabāñ duniyā

    magar insān kal fikr sāmān lagtā hai

    fazā meñ yuuñ takalluf hai havā meñ yuuñ hai bedārī

    ki dil aivān-e-hastī meñ faqat mehmān lagtā hai

    khulī khiḌkī se 'dānish' amn ke aḳhbār rozāna

    ye manzar ab kisī firdaus unvān lagtā hai

    umangen dil mein hon sahra bhi aalishan lagta hai

    bujhe dil ko saji mahfil ka dar viran lagta hai

    ho koi ham-safar aisa jo dil ko ham-nafas guzre

    isi hasrat pe har lamha mujhe qurban lagta hai

    yaqinan hai KHabar mein aaj rab ki be-zaban duniya

    magar insan kal ki fikr ka saman lagta hai

    faza mein yun takalluf hai hawa mein yun hai bedari

    ki dil aiwan-e-hasti mein faqat mehman lagta hai

    khuli khiDki se 'danish' amn ke aKHbar rozana

    ye manzar ab kisi firdaus ka unwan lagta hai

    Source:

    (Pg. 112)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now