Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai

Yaqoob Usmani

umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai

Yaqoob Usmani

MORE BYYaqoob Usmani

    Interesting Fact

    30-12-1953

    umañgoñ meñ vahī josh-e-tamannā-zād baaqī hai

    abhī dil meñ ḳhudā rakkhe kisī yaad baaqī hai

    sar-e-manzil fareb-e-rahnumā toḌ mushkil thā

    ġhanīmat hai ki shauq-e-marhala-ījād baaqī hai

    hañsī aatī hai tere is ġhurūr-e-dām-dārī par

    koī phandā bhī sābit aaj ai sayyād baaqī hai

    sahar ne aa ke chehra vaqt dhoyā to kyā dhoyā

    fazāoñ par ġhubār-e-ḳhātir-e-nāshād baaqī hai

    tabāhī gherne vaalī thī āḳhir kin safīnoñ ko

    tah-e-girdāb shor-e-har-che bādā-bād baaqī hai

    abhī se bañdh ga.ī hichkī chaman-afroz kaliyoñ

    abhī to dāstān-e-nig.hat-e-barbād baaqī hai

    zabān-e-vaqt kal se ik nayā afsāna chheḌegī

    bahut thoḌī 'yāqūb' aaj rūdād baaqī hai

    umangon mein wahi josh-e-tamanna-zad baqi hai

    abhi dil mein KHuda rakkhe kisi ki yaad baqi hai

    sar-e-manzil fareb-e-rahnuma ka toD mushkil tha

    ghanimat hai ki shauq-e-marhala-ijad baqi hai

    hansi aati hai tere is ghurur-e-dam-dari par

    koi phanda bhi sabit aaj ai sayyaad baqi hai

    sahar ne aa ke chehra waqt ka dhoya to kya dhoya

    fazaon par ghubar-e-KHatir-e-nashad baqi hai

    tabahi gherne wali thi aaKHir kin safinon ko

    tah-e-girdab shor-e-har-che baada-baad baqi hai

    abhi se bandh gai hichki chaman-afroz kaliyon ki

    abhi to dastan-e-nighat-e-barbaad baqi hai

    zaban-e-waqt kal se ek naya afsana chheDegi

    bahut thoDi si 'yaqub' aaj ki rudad baqi hai

    Source:

    Sang-e-meel (Pg. B-132 E-129)

    • Author: Yaqoob Usmani
      • Edition: 1954
      • Publisher: Maktaba Shahrah, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now