umidon se kinara kar raha hun
umīdoñ se kināra kar rahā huuñ
maiñ ḳhud ko be-sahārā kar rahā huuñ
tumhāre baa'd jitnā rah gayā thā
usī meñ ab guzāra kar rahā huuñ
tumhīñ ho is taraf aate nahīñ ho
maiñ to kab se ishāra kar rahā huuñ
bahut se kaam adhūre rah ga.e haiñ
ki jin ko ab dubāra kar rahā huuñ
ka.ī bekār bahsoñ meñ ulajh kar
maiñ apnā hī ḳhasāra kar rahā huuñ
na.e mausam nazar ke sāmne haiñ
ga.ī rut kā nazāra kar rahā huuñ
umidon se kinara kar raha hun
main KHud ko be-sahaara kar raha hun
tumhaare ba'd jitna rah gaya tha
usi mein ab guzara kar raha hun
tumhin ho is taraf aate nahin ho
main to kab se ishaara kar raha hun
bahut se kaam adhure rah gae hain
ki jin ko ab dubara kar raha hun
kai bekar bahson mein ulajh kar
main apna hi KHasara kar raha hun
nae mausam nazar ke samne hain
gai rut ka nazara kar raha hun
- Book : Dhoop Mein Baithne Ke Din Aaye (Pg. 74)
- Author : Sunil Aftab
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.