Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ummid unki kam hi sahi aarzu to hai

Talib Mahmud

ummid unki kam hi sahi aarzu to hai

Talib Mahmud

MORE BYTalib Mahmud

    ummīd un kam sahī aarzū to hai

    manzil hameñ mile na mile justujū to hai

    amrit aarzū ne kaho tum ko kyā diyā

    ham log zahr-nosh sahī aabrū to hai

    duniyā meñ ham kuchh aise tahī-dast bhī nahīñ

    ajdād hamārī ragoñ meñ lahū to hai

    ahbāb ko to maslahat-andeshiyoñ se kaam

    ā.īna sāf-go sahī rū-ba-rū to hai

    dīvāna pā-shikasta o shorīda-sar sahī

    lekin ba-pās-e-husn-e-vafā surḳh-rū to hai

    ai dost aaj kyoñ haiñ ye vahshat-navāziyāñ

    haañ ham nahīñ haiñ sāhib-e-idrāk to hai

    'tālib' ye kyā zarūr ki ho zikr-e-ḳhair

    yāroñ ke darmiyān tirī guftugū to hai

    ummid un ki kam hi sahi aarzu to hai

    manzil hamein mile na mile justuju to hai

    amrit ki aarzu ne kaho tum ko kya diya

    hum log zahr-nosh sahi aabru to hai

    duniya mein hum kuchh aise tahi-dast bhi nahin

    ajdad ka hamari ragon mein lahu to hai

    ahbab ko to maslahat-andeshiyon se kaam

    aaina saf-go hi sahi ru-ba-ru to hai

    diwana pa-shikasta o shorida-sar sahi

    lekin ba-pas-e-husn-e-wafa surKH-ru to hai

    ai dost aaj kyon hain ye wahshat-nawaziyan

    han hum nahin hain sahib-e-idrak tu to hai

    'talib' ye kya zarur ki ho zikr-e-KHair hi

    yaron ke darmiyan teri guftugu to hai

    Source:

    Aitibar-e-Sukhan (Pg. 98)

    • Author: Talib Mahmud
      • Publisher: Talib Mahmud
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now