Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar chalta rahun ye hadisa rahne diya

Andaz Amrohvi

umr bhar chalta rahun ye hadisa rahne diya

Andaz Amrohvi

MORE BYAndaz Amrohvi

    umr bhar chaltā rahūñ ye hādisa rahne diyā

    us ne manzil chhīn aur rāsta rahne diyā

    is tarah us ne kiyā bīmārī-e-ġham ilaaj

    achchhā hone par bhī mohtāj-e-davā rahne diyā

    jab ga.e the merī rāhoñ meñ jalā kar tum charāġh

    āñdhiy.oñ ko kis liye mujh se ḳhafā rahne diyā

    chāhe jhūTā sahī us ne dilāsa to diyā

    kam se kam jiine mere silsila rahne diyā

    thā haqīqat par fidā sone se bhī Dartā rahā

    umr bhar āñkhoñ ko ḳhvāboñ se judā rahne diyā

    yuuñ kiyā mujh par sitam āḳhir terī pahchān ne

    merī pahchān ko mujh se judā rahne diyā

    ḳhud se jab andāz milne nahīñ thā hausla

    aa.ina chehre ke aage kyoñ rakhā rahne diyā

    umr bhar chalta rahun ye hadisa rahne diya

    us ne manzil chhin li aur rasta rahne diya

    is tarah us ne kiya bimari-e-gham ka ilaj

    achchha hone par bhi mohtaj-e-dawa rahne diya

    jab gae the meri rahon mein jala kar tum charagh

    aandhiyon ko kis liye mujh se KHafa rahne diya

    chahe jhuTa hi sahi us ne dilasa to diya

    kam se kam jine ka mere silsila rahne diya

    tha haqiqat par fida sone se bhi Darta raha

    umr bhar aankhon ko KHwabon se juda rahne diya

    yun kiya mujh par sitam aaKHir teri pahchan ne

    meri hi pahchan ko mujh se juda rahne diya

    KHud se jab andaz milne ka nahin tha hausla

    aaina chehre ke aage kyon rakha rahne diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now