Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte

Fay Seen Ejaz

umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte

Fay Seen Ejaz

MORE BYFay Seen Ejaz

    umr bhar ek uljhan to nahīñ ban sakte

    dost ban jaa.eñ ki dushman to nahīñ ban sakte

    ham ko ma.alūm hai tum kyā nahīñ ban paate ho

    dhuup ban jaate ho sāvan to nahīñ ban sakte

    maiñ ne dekhā hai vo insān tumhāre andar

    raam ban jāoge rāvan to nahīñ ban sakte

    naqd sāñsoñ ke liye dil se mohabbat karnā

    ham kabhī qarz dhaḌkan to nahīñ ban sakte

    har shikan aaj hai bistar tumhārī ḳhātir

    tum mire chain ke dushman to nahīñ ban sakte

    roz ik jaisī adākārī na hogī ham se

    tum bhī ik raat dulhan to nahīñ ban sakte

    ek jaisī to nahīñ hotī hai saarī duniyā

    sab tire ruup darpan to nahīñ ban sakte

    maiñ ban jā.ūñgā kuchh der ko un ke jaisā

    mere bachche mirā bachpan to nahīñ ban sakte

    haq talab karte haiñ baḳhshish to nahīñ māñgte haiñ

    ham tirī bhiik bartan to nahīñ ban sakte

    umr bhar ek si uljhan to nahin ban sakte

    dost ban jaen ki dushman to nahin ban sakte

    hum ko malum hai tum kya nahin ban pate ho

    dhup ban jate ho sawan to nahin ban sakte

    main ne dekha hai wo insan tumhaare andar

    ram ban jaoge rawan to nahin ban sakte

    naqd sanson ke liye dil se mohabbat karna

    hum kabhi qarz ki dhaDkan to nahin ban sakte

    har shikan aaj hai bistar ki tumhaari KHatir

    tum mere chain ke dushman to nahin ban sakte

    roz ek jaisi adakari na hogi hum se

    tum bhi ek raat ki dulhan to nahin ban sakte

    ek jaisi to nahin hoti hai sari duniya

    sab tere rup ka darpan to nahin ban sakte

    main hi ban jaunga kuchh der ko un ke jaisa

    mere bachche mera bachpan to nahin ban sakte

    haq talab karte hain baKHshish to nahin mangte hain

    hum teri bhik ka bartan to nahin ban sakte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now