Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar isko rahi ek sargirani aur bas

Anjum Usman

umr bhar isko rahi ek sargirani aur bas

Anjum Usman

MORE BYAnjum Usman

    umr bhar is ko rahī ik sargirānī aur bas

    vo to kahiye thī hamārī saḳht-jānī aur bas

    ek musht-e-ḳhāk bil-āḳhir jo ḳhākistar huī

    so ma.āl-e-zindagī hai rā.egānī aur bas

    ik dayār-e-be-amāñ kaj-adā.ī dam-ba-dam

    ik shab-e-hijrāñ paiham nauha-ḳhvānī aur bas

    māh-o-anjum husn-e-parvāz-e-taḳhayyul ke liye

    rahguzar dhuul manzil nishānī aur bas

    āshiqī ke baab meñ dāman-darīda rahe

    ik nazar bas ik tabassum kul kahānī aur bas

    raqs meñ haiñ vahshateñ qarya-ba-qarya kū-ba-kū

    ye junūn-e-ishq resha-davānī aur bas

    thā shaikast-e-shauq unvān ishq-e-avvalīñ

    pesh-e-pā uftāda merā ishq-e-sānī aur bas

    zindagī isti.āra hai dil-e-shorīda-sar

    hai ragoñ meñ ishq ātish-fishānī aur bas

    dil sahīfa naqsh se ārāsta us ke rahā

    dil sahīfe meñ likhī is kahānī aur bas

    dard darmāñ suḳhan-hā-e-shagufta bhī nahīñ

    be-asar hai sab tirī jādū-bayānī aur bas

    hai shab-e-hijrāñ tilism-e-tīrgī 'anjum' darāz

    chashm-e-girya hai ḳhūnāba-fishānī aur bas

    umr bhar is ko rahi ek sargirani aur bas

    wo to kahiye thi hamari saKHt-jaani aur bas

    ek musht-e-KHak bil-aKHir jo KHakistar hui

    so maal-e-zindagi hai raegani aur bas

    ek dayar-e-be-aman ki kaj-adai dam-ba-dam

    ek shab-e-hijran ki paiham nauha-KHwani aur bas

    mah-o-anjum husn-e-parwaz-e-taKHayyul ke liye

    rahguzar ki dhul manzil ki nishani aur bas

    aashiqi ke bab mein daman-darida hi rahe

    ek nazar bas ek tabassum kul kahani aur bas

    raqs mein hain wahshaten qarya-ba-qarya ku-ba-ku

    ye junun-e-ishq ki resha-dawani aur bas

    tha shaikast-e-shauq ka unwan ishq-e-awwalin

    pesh-e-pa uftada mera ishq-e-sani aur bas

    zindagi ka istiara hai dil-e-shorida-sar

    hai ragon mein ishq ki aatish-fishani aur bas

    dil sahifa naqsh se aarasta us ke raha

    dil sahife mein likhi is ki kahani aur bas

    dard ka darman suKHan-ha-e-shagufta bhi nahin

    be-asar hai sab teri jadu-bayani aur bas

    hai shab-e-hijran tilism-e-tirgi 'anjum' daraaz

    chashm-e-girya ki hai KHunaba-fishani aur bas

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now