Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar jis pe takiya raha kuchh na tha dil nahin manta

Muhib Aarfi

umr bhar jis pe takiya raha kuchh na tha dil nahin manta

Muhib Aarfi

MORE BYMuhib Aarfi

    umr bhar jis pe takiya rahā kuchh na thā dil nahīñ māntā

    kyā karūñ tajzyoñ aTal faisla dil nahīñ māntā

    kauñd kar ek lamha jo phir milā vaqt ke abr meñ

    chhoḌ degī use vaqt māmtā dil nahīñ māntā

    ghup-añdhere se letī hai kyūñ-kar janm raushnī lagan

    ye karishma nahīñ hai kisī sham.a dil nahīñ māntā

    ḳhushk kyuuñ na ho jaa.e dariyā mirā lahr ban ban ke maiñ

    DhūñDhnā chhoḌ duuñ ḳhushkiyoñ sirā dil nahīñ māntā

    apne markaz ko ik vahm samjhā kiyā aql dā.era

    jis ko kuchh apne dām-e-kashish ke sivā dil nahīñ māntā

    us tasvīr ko dekhte dekhte ye huā kyā mujhe

    ya.anī behis hai tasvīr har adā dil nahīñ māntā

    dil meñ kuchh hai zabāñ se nikaltā hai kuchh baat aisī hai kuchh

    merā matlab 'muhib' koī jā.egā dil nahīñ māntā

    umr bhar jis pe takiya raha kuchh na tha dil nahin manta

    kya karun tajzyon ka aTal faisla dil nahin manta

    kaund kar ek lamha jo phir ja mila waqt ke abr mein

    chhoD degi use waqt ki mamta dil nahin manta

    ghup-andhere se leti hai kyun-kar janm raushni ki lagan

    ye karishma nahin hai kisi shama ka dil nahin manta

    KHushk hi kyun na ho jae dariya mera lahr ban ban ke main

    DhunDhna chhoD dun KHushkiyon ka sira dil nahin manta

    apne markaz ko ek wahm samjha kiya aql ka daera

    jis ko kuchh apne dam-e-kashish ke siwa dil nahin manta

    us ki taswir ko dekhte dekhte ye hua kya mujhe

    yani behis hai taswir ki har ada dil nahin manta

    dil mein kuchh hai zaban se nikalta hai kuchh baat aisi hai kuchh

    mera matlab 'muhib' koi pa jaega dil nahin manta

    Source:

    URDU INTERNATIONAL (Pg. 140)

    • Author: Ashfaq Hussain
      • Edition: February 1983,Issue No: 1 ,Volume 2 Issue No 1
      • Publisher: 9-Thirty fifth Street, Suite 2, Toronto, Ontario, Canada M8W 3J8
      • Year of Publication: February 1983,Issue No: 1 ,Volume 2 Issue No 1
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now