Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar ki dosti ka han bharam rakkha na tha

Farkhanda Razvi

umr bhar ki dosti ka han bharam rakkha na tha

Farkhanda Razvi

MORE BYFarkhanda Razvi

    umr bhar dostī haañ bharam rakkhā na thā

    ba.ad muddat ke khulā mujh pe ki vo merā na thā

    yuuñ jalā.e zindagī bhar maiñ ne yādoñ ke charāġh

    sāmne jin ke charāġh-e-dīgarāñ jaltā na thā

    kal maiñ us guftugū suntī rahī suntī rahī

    is mohabbat se vo pahle to kabhī bolā na thā

    kuchh to andāza thā mujh ko us āñkhoñ magar

    dil hālat ye us ne baab yuuñ kholā na thā

    sochtī huuñ kyuuñ maiñ jaise guñg ho kar rah ga.ī

    is tarah siine meñ dil pahle kabhī dhaḌkā na thā

    e'tirāf-e-ishq ne namnāk āñkheñ mirī

    aañkh meñ kājal qasam hai is tarah phailā na thā

    us ḳhvāhish thī so 'farḳhanda' maiñ qaa.il ho ga.ī

    vo payām-e-ishq bhejegā kabhī sochā na thā

    umr bhar ki dosti ka han bharam rakkha na tha

    baad muddat ke khula mujh pe ki wo mera na tha

    yun jalae zindagi bhar main ne yaadon ke charagh

    samne jin ke charagh-e-digaran jalta na tha

    kal main us ki guftugu sunti rahi sunti rahi

    is mohabbat se wo pahle to kabhi bola na tha

    kuchh to andaza tha mujh ko us ki aankhon ka magar

    dil ki haalat ka ye us ne bab yun khola na tha

    sochti hun kyun main jaise gung ho kar rah gai

    is tarah sine mein dil pahle kabhi dhaDka na tha

    e'tiraf-e-ishq ne namnak ki aankhen meri

    aankh mein kajal qasam hai is tarah phaila na tha

    us ki KHwahish thi so 'farKHanda' main qail ho gai

    wo payam-e-ishq bhejega kabhi socha na tha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now