Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr bhar us pe main mara hi kiya

Muntazir lakhnavi

umr bhar us pe main mara hi kiya

Muntazir lakhnavi

MORE BYMuntazir lakhnavi

    umr bhar us pe maiñ marā kiyā

    vo masīhā bhī dam diyā kiyā

    thā vo nā-āshnā-mizāj vale

    āḳhirash ham ne āshnā kiyā

    āshiqī ke sivā bhī ham ne aur

    jo kiyā kaam so burā kiyā

    kar ga.e qais-o-koh-kan jo jo

    ham ne us se bhī kuchh sivā kiyā

    go bhalā burā thā sher apnā

    sun ke yāroñ ne vāh-vā kiyā

    ik na ik us zulf-e-barham se

    pech dil par mire paḌā kiyā

    shab-e-furqat meñ 'muntazir' har roz

    sham.a dil mirā jalā kiyā

    umr bhar us pe main mara hi kiya

    wo masiha bhi dam diya hi kiya

    tha wo na-ashna-mizaj wale

    aaKHirash hum ne aashna hi kiya

    aashiqi ke siwa bhi hum ne aur

    jo kiya kaam so bura hi kiya

    kar gae qais-o-koh-kan jo jo

    hum ne us se bhi kuchh siwa hi kiya

    go bhala ya bura tha sher apna

    sun ke yaron ne wah-wa hi kiya

    ek na ek us ki zulf-e-barham se

    pech dil par mere paDa hi kiya

    shab-e-furqat mein 'muntazir' har roz

    shama sa dil mera jala hi kiya

    Source:

    Intikhab Kulliyat-e-Muntazir (Pg. 53)

    • Author: Muntazir lakhnavi
      • Publisher: Bihar Urdu Academy, Patna
      • Year of Publication: 1974
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now