Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr-e-do-roza taba-e-hijr-o-visal hai

Afqar Mohani

umr-e-do-roza taba-e-hijr-o-visal hai

Afqar Mohani

MORE BYAfqar Mohani

    umr-e-do-roza tāba-e-hijr-o-visāl hai

    ik din agar ḳhushī hai to ik din malāl hai

    miTne apne dil ke nahīñ mujh ko ġham zarā

    duniyā ke miTne magar ab to savāl hai

    saaqī pilā.e aur phir apnī qasam ke saath

    is tarah se jahāñ bhī mile mai halāl hai

    maanā niyāz-e-ishq hai ḳhāmushī javāb

    phir bhī savāl apnī jagah par savāl hai

    pāmāl kyā karegā zamāna use bhalā

    tere ḳhirām-e-nāz jo pā.emāl hai

    naqsh-e-vafā huuñ miTne apne nahīñ hai ġham

    'afqar' miTā.e mujh ko koī kyā majāl hai

    umr-e-do-roza taba-e-hijr-o-visal hai

    ek din agar KHushi hai to ek din malal hai

    miTne ka apne dil ke nahin mujh ko gham zara

    duniya ke miTne ka magar ab to sawal hai

    saqi pilae aur phir apni qasam ke sath

    is tarah se jahan bhi mile mai halal hai

    mana niyaz-e-ishq ka hai KHamushi jawab

    phir bhi sawal apni jagah par sawal hai

    pamal kya karega zamana use bhala

    tere KHiram-e-naz ka jo paemal hai

    naqsh-e-wafa hun miTne ka apne nahin hai gham

    'afqar' miTae mujh ko koi kya majal hai

    Source:

    Nazargah (Pg. 73)

    • Author: Afqar Mohani
      • Publisher: Siddique Book Depot, Lucknow
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now