Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr jitni bhi kaTi uske bharose pe kaTi

Shahzad Ahmad

umr jitni bhi kaTi uske bharose pe kaTi

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    umr jitnī bhī kaTī us ke bharose pe kaTī

    aur ab sochtā huuñ us bharosa kyā thā

    tum ne achchhā kiyā dāman ko bachā kar guzre

    ham to bas raah miTTī the hamārā kyā thā

    is liye aa ke tire shahr meñ ābād hue

    ham ko is dasht-navardī se bhī lenā kyā thā

    ye agar sach hai ki ham us se bichhaḌ kar ḳhush the

    raat din us taraf dekhte rahnā kyā thā

    shauq-e-nazāra ne āñkheñ nahīñ khulne diiñ

    ye kisī ko nahīñ ma.alūm ki dekhā kyā thā

    paañv mere bhī nahīñ uThte the ghar jānib

    tum bhī jaate hue lauT aa.e the aisā kyā thā

    jaal meñ us ke giraftār to honā thā hameñ

    us ke jaadū se nikalne tarīqa kyā thā

    sub.h pahchān na paayā koī sūrat terī

    dil-e-hañgāma-talab raat tamāshā kyā thā

    sub.h sūraj bhī use dekhne aayā 'shahzād'

    raat chamkā thā jabīñ par jo sitāra kyā thā

    umr jitni bhi kaTi us ke bharose pe kaTi

    aur ab sochta hun us ka bharosa kya tha

    tum ne achchha kiya daman ko bacha kar guzre

    hum to bas rah ki miTTi the hamara kya tha

    is liye aa ke tere shahr mein aabaad hue

    hum ko is dasht-nawardi se bhi lena kya tha

    ye agar sach hai ki hum us se bichhaD kar KHush the

    raat din us ki taraf dekhte rahna kya tha

    shauq-e-nazara ne aankhen hi nahin khulne din

    ye kisi ko nahin malum ki dekha kya tha

    panw mere bhi nahin uThte the ghar ki jaanib

    tum bhi jate hue lauT aae the aisa kya tha

    jal mein us ke giraftar to hona tha hamein

    us ke jadu se nikalne ka tariqa kya tha

    subh pahchan na paya koi surat teri

    dil-e-hangama-talab raat tamasha kya tha

    subh suraj bhi use dekhne aaya 'shahzad'

    raat chamka tha jabin par jo sitara kya tha

    Source:

    urdu shairii ke top ten shayar (Pg. 342)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now