Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un aankhon ka mujhse koi wada to nahin hai

Farasat Rizwi

un aankhon ka mujhse koi wada to nahin hai

Farasat Rizwi

MORE BYFarasat Rizwi

    un āñkhoñ mujh se koī va.ada to nahīñ hai

    thoḌī mohabbat hai ziyāda to nahīñ hai

    uslūb-e-nazar se mirā mafhūm na samjhe

    vo yaar mirā itnā bhī saada to nahīñ hai

    āġhāz jo maiñ ne na.ī ek mohabbat

    ye pichhlī mohabbat i.aada to nahīñ hai

    siine meñ bujhā jaatā hai dil merā sar-e-shām

    is ġham ilaaj ātish-e-bāda to nahīñ hai

    phir se tirī āñkhoñ meñ sivā rang-e-mohabbat

    phir tark-e-mohabbat irāda to nahīñ hai

    parvāz ke sab ḳhvāb yahīñ rakkhe haiñ maiñ ne

    go kunj-e-qafas itnā kushāda to nahīñ hai

    ḳhānoñ meñ bhaTaktā nazar aayā mujhe insān

    shatranj zamāna piyāda to nahīñ hai

    jaate haiñ kahīñ aur pahuñchte haiñ kahīñ aur

    ik aur bhī jaada pas-e-jāda to nahīñ hai

    un aankhon ka mujh se koi wada to nahin hai

    thoDi si mohabbat hai ziyaada to nahin hai

    uslub-e-nazar se mera mafhum na samjhe

    wo yar mera itna bhi sada to nahin hai

    aaghaz jo ki main ne nai ek mohabbat

    ye pichhli mohabbat ka iada to nahin hai

    sine mein bujha jata hai dil mera sar-e-sham

    is gham ka ilaj aatish-e-baada to nahin hai

    phir se teri aankhon mein siwa rang-e-mohabbat

    phir tark-e-mohabbat ka irada to nahin hai

    parwaz ke sab KHwab yahin rakkhe hain main ne

    go kunj-e-qafas itna kushada to nahin hai

    KHanon mein bhaTakta nazar aaya mujhe insan

    shatranj zamana ka piyaada to nahin hai

    jate hain kahin aur pahunchte hain kahin aur

    ek aur bhi jada pas-e-jada to nahin hai

    Source:

    Kitab-e-Rafta (Pg. 56)

    • Author: Firasat Rizvi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Academy Bazyaft, Karachi Pakistan
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now