Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ke jaur-e-behad ko bhi KHamoshi se sahta hun

Sarwar Abidi

un ke jaur-e-behad ko bhi KHamoshi se sahta hun

Sarwar Abidi

MORE BYSarwar Abidi

    un ke jaur-e-behad ko bhī ḳhāmoshī se sahtā huuñ

    jaane kin mauhūm ummīdoñ rau meñ maiñ bahtā huuñ

    tum kyā jaano in bātoñ se tum to duur rahte ho

    maiñ jo bāteñ tanhā.ī meñ dil se kartā rahtā huuñ

    aaj tumhāre paas huuñ lekin tum ko koī qadr nahīñ

    kal tum ḳhud sab se pūchhoge maiñ kis desh meñ rahtā huuñ

    zulf-e-hastī ko suljhāna aaj ke daur manshā hai

    maiñ bechāra ishq ke jhagḌoñ meñ khoyā rahtā huuñ

    kal thiiñ ġhair kaḌvī bāteñ aaj tumhāre charche haiñ

    kal bhī sab kuchh sahtā thā maiñ aaj bhī sab kuchh sahtā huuñ

    mere andar zaḳhmī dil apnā dard sunātā hai

    aur zamāne par ye zāhir hai maiñ bhī kuchh kahtā huuñ

    farsh-nashīñ ko arsh-nashīnī se 'sarvar' kyā nisbat hai

    lekin maiñ aise ḳhvāboñ ke chakkar meñ rahtā huuñ

    un ke jaur-e-behad ko bhi KHamoshi se sahta hun

    jaane kin mauhum ummidon ki rau mein main bahta hun

    tum kya jaano in baaton se tum to dur hi rahte ho

    main jo baaten tanhai mein dil se karta rahta hun

    aaj tumhaare pas hun lekin tum ko koi qadr nahin

    kal tum KHud sab se puchhoge main kis desh mein rahta hun

    zulf-e-hasti ko suljhana aaj ke daur ka mansha hai

    main bechaara ishq ke jhagDon hi mein khoya rahta hun

    kal thin ghair ki kaDwi baaten aaj tumhaare charche hain

    kal bhi sab kuchh sahta tha main aaj bhi sab kuchh sahta hun

    mere andar ka zaKHmi dil apna dard sunata hai

    aur zamane par ye zahir hai main bhi kuchh kahta hun

    farsh-nashin ko arsh-nashini se 'sarwar' kya nisbat hai

    lekin main aise hi KHwabon ke chakkar mein rahta hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now