un ke kandhe pe sar rahega kya
un ke kāñdhe pe sar rahegā kyā
'ishq ye 'umr bhar rahegā kyā
aap ke ācharan se Dartī huuñ
ghar hamesha ye ghar rahegā kyā
kyoñ ġhurūr itnā is pe karte ho
paas har dam ye zar rahegā kyā
pyaar kī aañch kam na ho jaa.e
zindagī bhar ye Dar rahegā kyā
ai 'kiran' pyaar meñ bichhaḌne kā
dard ye 'umr bhar rahegā kyā
un ke kandhe pe sar rahega kya
'ishq ye 'umr bhar rahega kya
aap ke aacharan se Darti hun
ghar hamesha ye ghar rahega kya
kyon ghurur itna is pe karte ho
pas har dam ye zar rahega kya
pyar ki aanch kam na ho jae
zindagi bhar ye Dar rahega kya
ai 'kiran' pyar mein bichhaDne ka
dard ye 'umr bhar rahega kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.
 
                         
 