Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ke partaw ne kiye naqsh ujagar kitne

Rishi Patialvi

un ke partaw ne kiye naqsh ujagar kitne

Rishi Patialvi

MORE BYRishi Patialvi

    un ke partav ne kiye naqsh ujāgar kitne

    parda-e-dil pe numāyāñ hue manzar kitne

    kyā qayāmat hai ki ab ḳhud se bhī rūposhī hai

    ġham ubhar aa.e mire qad ke barābar kitne

    un ke andāz-e-taġhāful ko ḳhabar tak na huī

    merī rusvā.ī ke charche hue ghar-ghar kitne

    sar-bulandī umīdeñ to liye baiThe haiñ

    ham ne sochā nahīñ ilzām haiñ sar par kitne

    ġhair to ġhair haiñ apnoñ se bhī pūchhā na gayā

    āstīnoñ meñ chhupā rakkhe haiñ ḳhanjar kitne

    vaqt paḌne pe ye andāza bhī ho jā.egā

    phuul kitne tire dāman meñ haiñ patthar kitne

    Duub marnā muqaddar hai to ab kyā socheñ

    mauj-dar-mauj haiñ sāhil pe samundar kitne

    kis ko ma.alūm thā manzil pata milte

    apne me.ayār se gir jā.eñge rahbar kitne

    dīda-e-shauq se kis kis ta.āruf hogā

    ek paikar meñ simaT ā.eñge paikar kitne

    sāqī-e-vaqt sarshār nigāhī qasam

    be-piye mast haiñ mai-ḳhāne se bāhar kitne

    jab kisī mehr-e-munavvar nazar phirtī hai

    Duub jaate haiñ sitāroñ ke muqaddar kitne

    kis taqdīr meñ tauqīr-e-ayāzī hogī

    sar-ba-sajda hue mahmūd-o-sikandar kitne

    ai 'rishī' jab se na piine qasam khaa.ī hai

    lab tak aa.e haiñ chhalakte hue sāġhar kitne

    un ke partaw ne kiye naqsh ujagar kitne

    parda-e-dil pe numayan hue manzar kitne

    kya qayamat hai ki ab KHud se bhi ruposhi hai

    gham ubhar aae mere qad ke barabar kitne

    un ke andaz-e-taghaful ko KHabar tak na hui

    meri ruswai ke charche hue ghar-ghar kitne

    sar-bulandi ki umiden to liye baiThe hain

    hum ne socha nahin ilzam hain sar par kitne

    ghair to ghair hain apnon se bhi puchha na gaya

    aastinon mein chhupa rakkhe hain KHanjar kitne

    waqt paDne pe ye andaza bhi ho jaega

    phul kitne tere daman mein hain patthar kitne

    Dub marna hi muqaddar hai to ab kya sochen

    mauj-dar-mauj hain sahil pe samundar kitne

    kis ko malum tha manzil ka pata milte hi

    apne meayar se gir jaenge rahbar kitne

    dida-e-shauq se kis kis ka taaruf hoga

    ek paikar mein simaT aaenge paikar kitne

    saqi-e-waqt ki sarshaar nigahi ki qasam

    be-piye mast hain mai-KHane se bahar kitne

    jab kisi mehr-e-munawwar ki nazar phirti hai

    Dub jate hain sitaron ke muqaddar kitne

    kis ki taqdir mein tauqir-e-ayazi hogi

    sar-ba-sajda hue mahmud-o-sikandar kitne

    ai 'rishi' jab se na pine ki qasam khai hai

    lab tak aae hain chhalakte hue saghar kitne

    Source:

    Shafaq Rang Aansu (Pg. 204)

    • Author: Rishi Patialvi
      • Publisher: Jamal Printing Press, Delhi
      • Year of Publication: 1981
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now