Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki aamad se jo arman machal jate hain

Beena goindi

unki aamad se jo arman machal jate hain

Beena goindi

MORE BYBeena goindi

    un aamad se jo armān machal jaate haiñ

    ḳhud-baḳhud raah ke āsār badal jaate haiñ

    ham to un logoñ meñ shāmil haiñ hamārā kyā hai

    jo umīdoñ ke sahāre bahal jaate haiñ

    merī āñkhoñ meñ tire hijr ke aañsū haiñ jame

    vo mire jazboñ hiddat se pighal jaate haiñ

    sub.h-e-sādiq tarah ujle haiñ jazbe un ke

    jo bure vaqt meñ gir ke bhī sambhal jaate haiñ

    aisā insān ki jis koī ġham-ḳhvār na ho

    aise insān ko hālāt nigal jaate haiñ

    merī āñkhoñ se bhalā ḳhushk hoñ aañsū kaise

    kyā kabhī chhoḌ ke paanī ko kañval jaate haiñ

    un ki aamad se jo arman machal jate hain

    KHud-baKHud rah ke aasar badal jate hain

    hum to un logon mein shamil hain hamara kya hai

    jo umidon ke sahaare hi bahal jate hain

    meri aankhon mein tere hijr ke aansu hain jame

    wo mere jazbon ki hiddat se pighal jate hain

    subh-e-sadiq ki tarah ujle hain jazbe un ke

    jo bure waqt mein gir ke bhi sambhal jate hain

    aisa insan ki jis ka koi gham-KHwar na ho

    aise insan ko haalat nigal jate hain

    meri aankhon se bhala KHushk hon aansu kaise

    kya kabhi chhoD ke pani ko kanwal jate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now