Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki gali mein barson rihaish ke bawajud

Syed Salman Gilani

unki gali mein barson rihaish ke bawajud

Syed Salman Gilani

MORE BYSyed Salman Gilani

    un galī meñ barsoñ rihā.ish ke bāvajūd

    hāsil na kar sakā unheñ koshish ke bāvajūd

    āñkhoñ se āshkāra nahīñ hone tapish

    dil meñ dahaktī hijr ātish ke bāvajūd

    terā huuñ maiñ to tere karam se tirā huuñ maiñ

    shaitān aur nafs sāzish ke bāvajūd

    shāyad uTheñ vo sun ke sarāfīl sadā

    jo niiñd meñ haiñ chār-sū shorish ke bāvajūd

    vo zahr de rahā thā maiñ samjhā sharāb hai

    ik muġhbache ke haath larzish ke bāvajūd

    hairat hai un pe tujh ko nahīñ mānte jo log

    shams-o-qamar meñ terī numā.ish ke bāvajūd

    ḳhvāhish ke vo baġhair milegā ba-roz-e-hashr

    duniyā meñ jo na mil sakā ḳhvāhish ke bāvajūd

    'gīlānī' koī aisā na hogā jo hashr meñ

    baḳhshā na jaa.e un sifārish ke bāvajūd

    un ki gali mein barson rihaish ke bawajud

    hasil na kar saka unhen koshish ke bawajud

    aankhon se aashkara nahin hone di tapish

    dil mein dahakti hijr ki aatish ke bawajud

    tera hun main to tere karam se tera hun main

    shaitan aur nafs ki sazish ke bawajud

    shayad uThen wo sun ke sarafil ki sada

    jo nind mein hain chaar-su shorish ke bawajud

    wo zahr de raha tha main samjha sharab hai

    ek mughbache ke hath ki larzish ke bawajud

    hairat hai un pe tujh ko nahin mante jo log

    shams-o-qamar mein teri numaish ke bawajud

    KHwahish ke wo baghair milega ba-roz-e-hashr

    duniya mein jo na mil saka KHwahish ke bawajud

    'gilani' koi aisa na hoga jo hashr mein

    baKHsha na jae un ki sifarish ke bawajud

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now