Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unki ek ik baat ko dil ne yaad kiya hai sara din

Indr Mohan Mehta Kaif

unki ek ik baat ko dil ne yaad kiya hai sara din

Indr Mohan Mehta Kaif

MORE BYIndr Mohan Mehta Kaif

    un ik ik baat ko dil ne yaad kiyā hai saarā din

    yaaro ham ne ḳhuub manāyā ab ke saal pahlā din

    merī būḌhī āñkheñ Dhaltī shaam manzar taktī thiiñ

    muḌ kar dekhā to bachchoñ peshānī se ubhrā din

    dil kyoñ aane vaale kal aas lagā.e baiThā hai

    aaj bhī haiñ kal se andeshe kal bhī hogā aaj din

    koī gautam samjhegā ye jazboñ dhuup aur chhāñv

    ham jab ghar ko chhoḌ ke nikle aadhī raat thī aadhā din

    ne sāñsoñ suulī par lambī raat guzārī hai

    kaash tire arpan kar saktā maiñ apne hisse din

    'kaif' lahū meñ kaliyāñ chaTkīñ nazroñ meñ gulzār khile

    achchhī sūrat dekh ke nikle achchhe mood meñ guzrā din

    un ki ek ek baat ko dil ne yaad kiya hai sara din

    yaro hum ne KHub manaya ab ke sal ka pahla din

    meri buDhi aankhen Dhalti sham ka manzar takti thin

    muD kar dekha to bachchon ki peshani se ubhra din

    dil kyon aane wale kal ki aas lagae baiTha hai

    aaj bhi hain kal se andeshe kal bhi hoga aaj sa din

    koi gautam hi samjhega ye jazbon ki dhup aur chhanw

    hum jab ghar ko chhoD ke nikle aadhi raat thi aadha din

    tu ne sanson ki suli par lambi raat guzari hai

    kash tere arpan kar sakta main apne hisse ka din

    'kaif' lahu mein kaliyan chaTkin nazron mein gulzar khile

    achchhi surat dekh ke nikle achchhe mood mein guzra din

    Source:

    Dosrey Din Ka Suraj (Pg. 45)

    • Author: Indr Mohan Mehta Kaif
      • Publisher: Indr Mohan Mehta Kaif
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now