Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ko dil de ke pashemani hai

Hafeez Jaunpuri

un ko dil de ke pashemani hai

Hafeez Jaunpuri

MORE BYHafeez Jaunpuri

    un ko dil de ke pashemānī hai

    ye bhī ik tarah nādānī hai

    vasl se aaj nayā hai inkār

    tum ne kab baat mirī maanī hai

    aap dete haiñ tasallī kis ko

    ham ne ab aur kuchh Thānī hai

    haal bin pūchhe kahe jaatā huuñ

    apne matlab ye nādānī hai

    kis qadar baar huuñ ġham-ḳhvāroñ par

    kyā subuk merī girāñ-jānī hai

    ghar bulā kar vo mujhe lauTte haiñ

    ye na.ī tarah mehmānī hai

    ham se vahshat na le o majnūñ

    ham ne bhī ḳhaak bahut chhānī hai

    ḳhaak uḌtī hai jidhar jaatā huuñ

    kyā muqaddar pareshānī hai

    ghar bhī vīrāna nazar aatā hai

    haa.e kyā be-sar-o-sāmānī hai

    aa.ī kyuuñ un shikāyat lab tak

    ham ko ḳhud us pashemānī hai

    kahīñ do din na rahā jam ke 'hafīz'

    ek āvāra hai sailānī hai

    un ko dil de ke pashemani hai

    ye bhi ek tarah ki nadani hai

    wasl se aaj naya hai inkar

    tum ne kab baat meri mani hai

    aap dete hain tasalli kis ko

    hum ne ab aur hi kuchh Thani hai

    haal bin puchhe kahe jata hun

    apne matlab ki ye nadani hai

    kis qadar bar hun gham-KHwaron par

    kya subuk meri giran-jaani hai

    ghar bula kar wo mujhe lauTte hain

    ye nai tarah ki mehmani hai

    hum se wahshat ki na le o majnun

    hum ne bhi KHak bahut chhani hai

    KHak uDti hai jidhar jata hun

    kya muqaddar ki pareshani hai

    ghar bhi virana nazar aata hai

    hae kya be-sar-o-samani hai

    aai kyun un ki shikayat lab tak

    hum ko KHud us ki pashemani hai

    kahin do din na raha jam ke 'hafiz'

    ek aawara hai sailani hai

    Source:

    Kulliyat-e-Hafeez Jaunpuri (Pg. Ghazal Number-191 Page Number-177)

    • Author: Tufail Ahmad Ansari
      • Edition: 2010
      • Publisher: Qaumi Council Baraye Farogh-e-urdu Zaban
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now