un se bhi kahan meri himayat mein hila sar
un se bhī kahāñ merī himāyat meñ hilā sar
kahte the jo har baat pe hāzir hai mirā sar
haañ ye hai ki āhista-kalāmī kā huuñ mujrim
ḳhāmosh-mizājī to hai ilzām sarāsar
jis roz se aayā hai ye qātil kī nazar meñ
us roz se jhukne kī adā bhuul gayā sar
ġhairat ke muqābil thī zarūrat bhī havas bhī
ye ma.arka mushkil thā magar ham ne kiyā sar
ik roz ik insāñ ne mujhe kah diyā insāñ
us roz bahut der na sajde se uThā sar
un se bhi kahan meri himayat mein hila sar
kahte the jo har baat pe hazir hai mera sar
han ye hai ki aahista-kalami ka hun mujrim
KHamosh-mizaji to hai ilzam sarasar
jis roz se aaya hai ye qatil ki nazar mein
us roz se jhukne ki ada bhul gaya sar
ghairat ke muqabil thi zarurat bhi hawas bhi
ye marka mushkil tha magar hum ne kiya sar
ek roz ek insan ne mujhe kah diya insan
us roz bahut der na sajde se uTha sar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.