un se hoti hai mulaqat jab aate jate
un se hotī hai mulāqāt jab aate jaate
haal kar lete haiñ mā'lūm vo jaate jaate
jā ke bāġhoñ pe baraste haiñ jo bādal ai kaash
dasht-e-dil meñ bhī koī phuul khilāte jaate
ho ga.e aah vo be-vā’da-e-fardā ruḳhsat
jā rahe the to koī aas dilāte jaate
sabza-o-lāla-o-gul aap kī hamrāhī meñ
nazar aate to nigāhoñ meñ samāte jaate
baat karne kī na hotī unheñ zahmat aa kar
dekhte jaate hameñ ashk bahāte jaate
the kamar-basta 'sha'ūr' aaj balā-noshī par
piite jaate vo agar log pilāte jaate
un se hoti hai mulaqat jab aate jate
haal kar lete hain ma'lum wo jate jate
ja ke baghon pe baraste hain jo baadal ai kash
dasht-e-dil mein bhi koi phul khilate jate
ho gae aah wo be-wa’da-e-farda ruKHsat
ja rahe the to koi aas dilate jate
sabza-o-lala-o-gul aap ki hamrahi mein
nazar aate to nigahon mein samate jate
baat karne ki na hoti unhen zahmat aa kar
dekhte jate hamein ashk bahate jate
the kamar-basta 'sha'ur' aaj bala-noshi par
pite jate wo agar log pilate jate
- Book : Ab Main Aksar Main Nahi Rehta (Pg. 114)
- Author : Anwar Shaoor
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 3rd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.