Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unhen dushman se milne ki paDi hai

Hajir Dehlwi

unhen dushman se milne ki paDi hai

Hajir Dehlwi

MORE BYHajir Dehlwi

    unheñ dushman se milne paḌī hai

    yahāñ betābī-e-ġham har ghaḌī hai

    kisī sūrat ġham-e-furqat saheñge

    kareñ kyā ab to sar par aa paḌī hai

    bañdhā hai āñsuoñ taar ġham meñ

    vo farmāte haiñ sāvan jhaḌī hai

    chale jaao zarā Thokar lagā kar

    hamārī laash raste meñ paḌī hai

    nigāh-e-yār sharmā.ī huī hai

    ḳhudā mā'lūm kis kis se laḌī hai

    nahīñ hai pāsbāñ dar par tumhāre

    qayāmat hai ki ḳhud aa kar khaḌī hai

    adā-e-ishq se kab āshnā the

    tabī'at aap se kuchh laḌī hai

    taḌapte zindagī bhar us ko dekhā

    nazar jis par tirī kar paḌī hai

    na kyoñ qaa.il huuñ us sannā.a maiñ

    ye sūrat jis ne fursat meñ ghaḌī hai

    na.e raste nikāle shauq ne phir

    tabī'at jab kabhī apnī aḌī hai

    hujūm itnā hai kyoñ dar par tumhāre

    yahāñ kyā husn daulat gaḌī hai

    nahīñ hai dil meñ ye sūrat kisī

    koī tasvīr shīshe meñ jaḌī hai

    tumhārā naam hai har dam zabāñ par

    tumhārī yaad dil ko har ghaḌī hai

    ye hai kis fitna-gar aamad aamad

    jigar thāme hue ḳhilqat khaḌī hai

    ġham-e-furqat se kyūñkar jaan chhūTe

    baḌī mushkil meñ ab ye paḌī hai

    'ayādat ko marīz-e-ġham aao

    ki us maut ab sar par khaḌī hai

    abhī se vasl armān ai dil

    abhī to hijr manzil paḌī hai

    muqaddar ne diyā hai saath kyā kyā

    nigah us but se haT haT kar laḌī hai

    tumhāre lab ko kyā nisbat kisī se

    gul-e-tar ye nāzuk pankhuḌī hai

    sañbhal kar rāh-e-ulfat meñ qadam rakh

    are nādān ye manzil kaḌī hai

    mohabbat meñ jo dil uljhā hai dil se

    nazar un nazar se laḌī hai

    kiyā hai muntaḳhab dil ne unhīñ ko

    nazar lākhoñ meñ un par paḌī hai

    milā hai 'ishq meñ jo ranj 'hājir'

    vo us zanjīr pahlī kaḌī hai

    unhen dushman se milne ki paDi hai

    yahan betabi-e-gham har ghaDi hai

    kisi surat gham-e-furqat sahenge

    karen kya ab to sar par aa paDi hai

    bandha hai aansuon ka tar gham mein

    wo farmate hain sawan ki jhaDi hai

    chale jao zara Thokar laga kar

    hamari lash raste mein paDi hai

    nigah-e-yar sharmai hui hai

    KHuda ma'lum kis kis se laDi hai

    nahin hai pasban dar par tumhaare

    qayamat hai ki KHud aa kar khaDi hai

    ada-e-ishq se kab aashna the

    tabi'at aap hi se kuchh laDi hai

    taDapte zindagi bhar us ko dekha

    nazar jis par teri ja kar paDi hai

    na kyon qail hun us sannaa ka main

    ye surat jis ne fursat mein ghaDi hai

    nae raste nikale shauq ne phir

    tabi'at jab kabhi apni aDi hai

    hujum itna hai kyon dar par tumhaare

    yahan kya husn ki daulat gaDi hai

    nahin hai dil mein ye surat kisi ki

    koi taswir shishe mein jaDi hai

    tumhaara nam hai har dam zaban par

    tumhaari yaad dil ko har ghaDi hai

    ye hai kis fitna-gar ki aamad aamad

    jigar thame hue KHilqat khaDi hai

    gham-e-furqat se kyunkar jaan chhuTe

    baDi mushkil mein ab ye ja paDi hai

    'ayaadat ko mariz-e-gham ki aao

    ki us ki maut ab sar par khaDi hai

    abhi se wasl ka arman ai dil

    abhi to hijr ki manzil paDi hai

    muqaddar ne diya hai sath kya kya

    nigah us but se haT haT kar laDi hai

    tumhaare lab ko kya nisbat kisi se

    gul-e-tar ki ye nazuk pankhuDi hai

    sanbhal kar rah-e-ulfat mein qadam rakh

    are nadan ye manzil kaDi hai

    mohabbat mein jo dil uljha hai dil se

    nazar un ki nazar se ja laDi hai

    kiya hai muntaKHab dil ne unhin ko

    nazar lakhon mein un par ja paDi hai

    mila hai 'ishq mein jo ranj 'hajir'

    wo us zanjir ki pahli kaDi hai

    Source:

    Shaan-e-Mahfil (Pg. 99)

    • Author: Hajir Dehlwi
      • Publisher: Kaviraj Raghunandan Singh Sahir
      • Year of Publication: 1951
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now