Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

unhen qaid karne ki koshish hai kaisi

Yusuf Jamal

unhen qaid karne ki koshish hai kaisi

Yusuf Jamal

MORE BYYusuf Jamal

    unheñ qaid karne koshish hai kaisī

    ḳhalā meñ sadāoñ bandish hai kaisī

    nihāñ mujh meñ hai aur mere badan

    lahū chāTtī hai jo ḳhvāhish hai kaisī

    mujhe muskurāne kis ne sazā

    mirī zaat par ye navāzish hai kaisī

    milī ḳhushbuoñ ke jazīre dāvat

    mujhe phir rulāne sāzish hai kaisī

    muqaddar meñ hai jab hamāre añdhere

    nazar meñ sarābī tābish hai kaisī

    nagar hai ye phūloñ to phir yahāñ par

    chaTāneñ ugāne kāvish hai kaisī

    bahut shaad ābād rakhnā thā us ko

    zamīn par lahū ye bārish hai kaisī

    unhen qaid karne ki koshish hai kaisi

    KHala mein sadaon ki bandish hai kaisi

    nihan mujh mein hai aur mere badan ka

    lahu chaTti hai jo KHwahish hai kaisi

    mujhe muskurane ki kis ne saza di

    meri zat par ye nawazish hai kaisi

    mili KHushbuon ke jazire ki dawat

    mujhe phir rulane ki sazish hai kaisi

    muqaddar mein hai jab hamare andhere

    nazar mein sarabi si tabish hai kaisi

    nagar hai ye phulon ka to phir yahan par

    chaTanen ugane ki kawish hai kaisi

    bahut shad aabaad rakhna tha us ko

    zamin par lahu ki ye barish hai kaisi

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 537)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now