Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uqab-e-fikr akela hai barf-zaron mein

M Kothiyavi Rahi

uqab-e-fikr akela hai barf-zaron mein

M Kothiyavi Rahi

MORE BYM Kothiyavi Rahi

    uqāb-e-fikr akelā hai barf-zāroñ meñ

    ki chāñd jaaḌe jaise larazte tāroñ meñ

    vo aañkh noch de jis ko bharī bahāroñ meñ

    lahū rang nazar aa.e ābshāroñ meñ

    chalā hai qāfila-e-āshiqāñ ki shola-ruḳhāñ

    dabī dabī haiñ chingāriyāñ ġhubāroñ meñ

    sambhal gayā mirā girtā badan uThā ke tujhe

    maiñ phir chalā huuñ phisalte hue dayāroñ meñ

    sukūt-e-fikr ke 'unvāñ pe baat chal niklī

    ik aisā she'r paḌh aa.e haiñ shahr-yāroñ meñ

    uqab-e-fikr akela hai barf-zaron mein

    ki chand jaDe ka jaise larazte taron mein

    wo aankh noch de jis ko bhari bahaaron mein

    lahu ka rang nazar aae aabshaaron mein

    chala hai qafila-e-ashiqan ki shola-ruKHan

    dabi dabi si hain chingariyan ghubaron mein

    sambhal gaya mera girta badan uTha ke tujhe

    main phir chala hun phisalte hue dayaron mein

    sukut-e-fikr ke 'unwan pe baat chal nikli

    ek aisa she'r paDh aae hain shahr-yaron mein

    Source:

    Shafaq Ke Phool (Pg. 156)

    • Author: M Kothiyavi Rahi
      • Publisher: M Kothiyavi Rahi
      • Year of Publication: 1985
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now