Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye

Rasheed lakhnavi

uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye

    siina yuuñ chaak kiyā dāġh-e-jigar khol diye

    sab hasīnoñ ne mire qatl pe kamreñ bāñdhīñ

    Dore talvāroñ ke aur band-e-sipar khol diye

    aa gayā hosh tirī chaal ke mushtāqoñ ko

    hashr sun ke sadā dīda-e-tar diye

    paa.ī tāroñ ne ziyā baḌh ga.ī tārīki-e-shab

    us ne muñh Dhāñp ke kānoñ ke guhar khol diye

    aam bārāñ tarah se hai karam saaqī

    aa.ī barsāt ki maiḳhāne ke dar khol diye

    ajab nahīñ gar ahl-e-mohabbat ro.e

    mere mātam meñ hasīnoñ ne bhī sar khol diye

    āñkheñ khole hue sab dekh rahe haiñ tujh ko

    dil ke jaane ko ye ushshāq ne dar khol diye

    imtihān hasrat-e-parvāz manzūr huā

    zab.h kar ke mujhe sayyād ne par khol diye

    sharm aa.egī mujhe log samajh jā.eñge

    tum ne gesū mire lāshe par agar khol diye

    uqde ulfat ke sab ai rashk-e-qamar khol diye

    sina yun chaak kiya dagh-e-jigar khol diye

    sab hasinon ne mere qatl pe kamren bandhin

    Dore talwaron ke aur band-e-sipar khol diye

    aa gaya hosh teri chaal ke mushtaqon ko

    hashr ki sun ke sada dida-e-tar diye

    pai taron ne ziya baDh gai tariki-e-shab

    us ne munh Dhanp ke kanon ke guhar khol diye

    aam baran ki tarah se hai karam saqi ka

    aai barsat ki maiKHane ke dar khol diye

    ja ajab ki nahin gar ahl-e-mohabbat roe

    mere matam mein hasinon ne bhi sar khol diye

    aankhen khole hue sab dekh rahe hain tujh ko

    dil ke jaane ko ye ushshaq ne dar khol diye

    imtihan hasrat-e-parwaz ka manzur hua

    zabh kar ke mujhe sayyaad ne par khol diye

    sharm aaegi mujhe log samajh jaenge

    tum ne gesu mere lashe par agar khol diye

    Source:

    Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-117 page-106)

    • Author: Piyare Sahab Rasheed
      • Edition: 1952
      • Year of Publication: 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now