Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

urdu ho ya misri ho

Kalim Shadab

urdu ho ya misri ho

Kalim Shadab

MORE BYKalim Shadab

    urdu ho misrī ho

    kitnī mīThī lagtī ho

    phūloñ dil dukhtā hai

    kāñToñ par jab chaltī ho

    chāñd se tum ko kyā nisbat

    chhat par raah Tahaltī ho

    shauq nirāle haiñ saare

    phuul se shabnam chuntī ho

    kitnī nāzuk aur ma.asūm

    kāñch guḌiyā jaisī ho

    tum ko chhūnā baabā

    chaltī phirtī bijlī ho

    qatra qatra shāhid hai

    rag rag meñ tum bahtī ho

    rang bhī tum meñ ḳhushbū bhī

    phuul ho phir titlī ho

    jab un ta.abīr nahīñ

    ḳhvāboñ meñ kyoñ aatī ho

    kitnā sastā hai 'shādāb'

    aur tum kitnī mahñgī ho

    urdu ho ya misri ho

    kitni miThi lagti ho

    phulon ka dil dukhta hai

    kanTon par jab chalti ho

    chand se tum ko kya nisbat

    chhat par rah Tahalti ho

    shauq nirale hain sare

    phul se shabnam chunti ho

    kitni nazuk aur masum

    kanch ki guDiya jaisi ho

    tum ko chhuna na baba

    chalti phirti bijli ho

    qatra qatra shahid hai

    rag rag mein tum bahti ho

    rang bhi tum mein KHushbu bhi

    phul ho ya phir titli ho

    jab un ki tabir nahin

    KHwabon mein kyon aati ho

    kitna sasta hai 'shadab'

    aur tum kitni mahngi ho

    Source:

    Husn-e-Taghazzul (Pg. 141)

    • Author: Kalim Shadab
      • Publisher: Ideal Publication House, Nagpur
      • Year of Publication: 2020
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now