Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us but ki zaban par lo anwar phir aaj tumhaara nam aaya

S. Nooruddin Anwar Bhopali

us but ki zaban par lo anwar phir aaj tumhaara nam aaya

S. Nooruddin Anwar Bhopali

MORE BYS. Nooruddin Anwar Bhopali

    us but zabāñ par lo 'anvar' phir aaj tumhārā naam aaya

    kyā jazb-e-mohabbat jaag uThā kyā josh-e-junūñ phir kaam aaya

    lo dekh lo vo namnāk āñkheñ lo sun lo vo zer-e-lab aaheñ

    bīmār-e-hasīñ ke hoñToñ par kyā jāniye kyā paiġhām aaya

    un mast nigāhoñ ne uTh kar fauran pilā thoḌī

    rindoñ pe jahāñ hushyārī mahfil meñ koī ilzām aaya

    kyā jāniye kyoñ dil bhar aaya ma.alūm nahīñ kyā baat huī

    phir ek dhuāñ dil se uThā jab mere laboñ tak jaam aaya

    kuchh tujh ko ḳhabar bhī hai zālim ai mast-e-ḳhirām-e-be-pardā

    ye ḳhaak zarra zarra kyoñ dil ban ke ba-zer-e-gām aaya

    detā huuñ tasallī maiñ 'anvar' dil ko yahī kah kah kar aksar

    ab nāma-bar aane vaalā hai ab un koī paiġhām aaya

    us but ki zaban par lo 'anwar' phir aaj tumhaara nam aaya

    kya jazb-e-mohabbat jag uTha kya josh-e-junun phir kaam aaya

    lo dekh lo wo namnak aankhen lo sun lo wo zer-e-lab aahen

    bimar-e-hasin ke honTon par kya jaaniye kya paigham aaya

    un mast nigahon ne uTh kar fauran hi pila di thoDi si

    rindon pe jahan hushyari ka mahfil mein koi ilzam aaya

    kya jaaniye kyon dil bhar aaya malum nahin kya baat hui

    phir ek dhuan sa dil se uTha jab mere labon tak jam aaya

    kuchh tujh ko KHabar bhi hai zalim ai mast-e-KHiram-e-be-parda

    ye KHak ka zarra zarra kyon dil ban ke ba-zer-e-gam aaya

    deta hun tasalli main 'anwar' dil ko yahi kah kah kar aksar

    ab nama-bar aane wala hai ab un ka koi paigham aaya

    Source:

    Hadees-e-Dil (Pg. 21)

    • Author: S. Nooruddin Anwar Bhopali
      • Publisher: S. Nooruddin Anwar Bhopali
      • Year of Publication: 1995
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now