us but ko dil dikha ke kaleja dikha diya
us but ko dil dikha ke kaleja dikha diya
Munshi Khairati Laal Shagufta
MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta
us but ko dil dikhā ke kaleja dikhā diyā
asbāb apnī zaat kā saarā dikhā diyā
ham ne tumhārī baat pe dikhlā ke aa.ina
ma.ashūq ḳhūb-rū tumheñ tum sā dikhā diyā
mushtāq-e-dil huā jo vo mai-nosh bazm meñ
maiñ ne uThā ke haath meñ shīsha dikhā diyā
ham ne bhī un ko un kī tarah chheḌ-chhāḌ meñ
ronā dikhā diyā kabhī hañsnā dikhā diyā
o bahr-e-husn girya-e-behad ke lutf se
sau baar mujh ko ashk kā dariyā dikhā diyā
ham ne 'shagufta' us but-e-kāfir ko pyaar meñ
apnā samajh ke maal parāyā dikhā diyā
us but ko dil dikha ke kaleja dikha diya
asbab apni zat ka sara dikha diya
hum ne tumhaari baat pe dikhla ke aaina
mashuq KHub-ru tumhein tum sa dikha diya
mushtaq-e-dil hua jo wo mai-nosh bazm mein
main ne uTha ke hath mein shisha dikha diya
hum ne bhi un ko un ki tarah chheD-chhaD mein
rona dikha diya kabhi hansna dikha diya
o bahr-e-husn girya-e-behad ke lutf se
sau bar mujh ko ashk ka dariya dikha diya
hum ne 'shagufta' us but-e-kafir ko pyar mein
apna samajh ke mal paraya dikha diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.