Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

Haider Qureshi

us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

Haider Qureshi

MORE BYHaider Qureshi

    us darbār meñ lāzim thā apne sar ko ḳham karte

    varna kam-az-kam apnī āvāz maddham karte

    is anā taskīn nahīñ paatī ḳhālī lafzoñ se

    shāyad kuchh ho jaatā asar tum girya-e-paiham karte

    siikh liyā hai āḳhir ham ne ishq meñ ḳhush ḳhush rahnā

    dard ko apnī davā banāte zaḳhm ko marham karte

    kaam hamāre hisse ke sab kar gayā thā divāna

    kaun aisā kaam thā baaqī jis ko ab ham karte

    har jaane vaale ko dekh ke rakh liyā dil par patthar

    kis kis ko rote āḳhir kis kis mātam karte

    dil to hamārā jise patthar se bhī saḳht huā thā

    patthar paanī ho gayā sūkhī āñkhoñ ko nam karte

    ban jaatā tiryāq usī zahr agar tum 'haidar'

    koī aayat pyaar paḌhte aur us par dam karte

    us darbar mein lazim tha apne sar ko KHam karte

    warna kam-az-kam apni aawaz hi maddham karte

    is ki ana taskin nahin pati KHali lafzon se

    shayad kuchh ho jata asar tum girya-e-paiham karte

    sikh liya hai aaKHir hum ne ishq mein KHush KHush rahna

    dard ko apni dawa banate zaKHm ko marham karte

    kaam hamare hisse ke sab kar gaya tha diwana

    kaun sa aisa kaam tha baqi jis ko ab hum karte

    har jaane wale ko dekh ke rakh liya dil par patthar

    kis kis ko rote aaKHir kis kis ka matam karte

    dil to hamara jise patthar se bhi saKHt hua tha

    patthar pani ho gaya sukhi aankhon ko nam karte

    ban jata tiryaq usi ka zahr agar tum 'haidar'

    koi aayat pyar ki paDhte aur us par dam karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now