us ek zarre ko raushan sitara karna hai
us ek zarre ko raushan sitāra karnā hai
ġhurūb-e-shām se pahle kināra karnā hai
ab aisī shab kī siyāhī kā rizq merā nasīb
ab aise din haiñ to un par guzārā karnā hai
buland rakkhūñgā apne 'alam maiñ āḳhir tak
vahāñ pahuñch ke tujhe bhī ishāra karnā hai
ye 'ahd pāra-e-nān-e-javīñ kā kaffāra
shikam shikam koī ḳhanjar utārā karnā hai
usī ko yaad bhī had se ziyāda kartā huuñ
vo jis ko āḳhirī had tak gavāra karnā hai
us ek zarre ko raushan sitara karna hai
ghurub-e-sham se pahle kinara karna hai
ab aisi shab ki siyahi ka rizq mera nasib
ab aise din hain to un par guzara karna hai
buland rakkhunga apne 'alam main aaKHir tak
wahan pahunch ke tujhe bhi ishaara karna hai
ye 'ahd para-e-nan-e-jawin ka kaffara
shikam shikam koi KHanjar utara karna hai
usi ko yaad bhi had se ziyaada karta hun
wo jis ko aaKHiri had tak gawara karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.