Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si

Gaazi Moin

us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si

Gaazi Moin

MORE BYGaazi Moin

    us lahja aisā jaise māchis ik tiilī

    dil pe sīdhe lag jaatī hai us baat nukīlī

    sūkhe sūkhe lab haiñ us ke us palkeñ giilī

    jaane kaisā dard milā hai āñkheñ haiñ pathrīlī

    uryānī raqs hai jaarī bas ek baTan dabāte

    nasl-e-nau dekhe jaatī hai filmeñ niilī niilī

    is raste pe chalnā behad mushkil behad mushkil hai

    sachchā.ī raah hai yaaro raah bhī vo pathrīlī

    sastī hai behad ye jaañ bach ke rahnā jān-e-jāñ

    jaane kaisī havā chalī hai sāñseñ haiñ zahrīlī

    **

    us ka lahja aisa jaise machis ki ek tili si

    dil pe sidhe lag jati hai us ki baat nukili si

    sukhe sukhe lab hain us ke us ki palken gili si

    jaane kaisa dard mila hai aankhen hain pathrili si

    uryani ka raqs hai jari bas ek baTan dabaate hi

    nasl-e-nau dekhe jati hai filmen nili nili si

    is raste pe chalna behad mushkil behad mushkil hai

    sachchai ki rah hai yaro rah bhi wo pathrili si

    sasti hai behad ye jaan bach ke rahna jaan-e-jaan

    jaane kaisi hawa chali hai sansen hain zahrili si

    aa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now