Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us ka wada ta-qayamat kam se kam

Saba Akbarabadi

us ka wada ta-qayamat kam se kam

Saba Akbarabadi

MORE BYSaba Akbarabadi

    us va.ada tā-qayāmat kam se kam

    aur yahāñ marne fursat kam se kam

    sah sake dard-e-mohabbat kam se kam

    dil meñ itnī to ho tāqat kam se kam

    is yādoñ se kahāñ hai dushmanī

    sham.a jaltī shām-e-furqat kam se kam

    us ke milne se na hotī raushnī

    ghaT to jaatī ġham zulmat kam se kam

    dekhne se un ke ye hāsil huā

    ho ga.ī apnī ziyārat kam se kam

    us ke ḳhat meñ aur sab kuchh thā magar

    sirf matlab ibārat kam se kam

    dard dene ke vahāñ sāmāñ bahut

    aur taḌapne ijāzat kam se kam

    kyuuñ ġham-e-daurāñ ziyāda mil gayā

    thī hameñ jis zarūrat kam se kam

    ḳhair tum se dostī mushkil sahī

    rahne do sāhib-salāmat kam se kam

    dekh kar un ko ye andāza huā

    hogī aisī qayāmat kam se kam

    daulat-e-ġham farāvānī sahī

    dāman-e-dil meñ hai vus.at kam se kam

    ġham nahīñ jo chand yādeñ saath thiiñ

    kar to dil hifāzat kam se kam

    sīna-chākī umr bhar hai 'sabā'

    zaḳhm silne thī muddat kam se kam

    us ka wada ta-qayamat kam se kam

    aur yahan marne ki fursat kam se kam

    sah sake dard-e-mohabbat kam se kam

    dil mein itni to ho taqat kam se kam

    is ki yaadon se kahan hai dushmani

    shama jalti sham-e-furqat kam se kam

    us ke milne se na hoti raushni

    ghaT to jati gham ki zulmat kam se kam

    dekhne se un ke ye hasil hua

    ho gai apni ziyarat kam se kam

    us ke KHat mein aur sab kuchh tha magar

    sirf matlab ki ibarat kam se kam

    dard dene ke wahan saman bahut

    aur taDapne ki ijazat kam se kam

    kyun gham-e-dauran ziyaada mil gaya

    thi hamein jis ki zarurat kam se kam

    KHair tum se dosti mushkil sahi

    rahne do sahib-salamat kam se kam

    dekh kar un ko ye andaza hua

    hogi aisi hi qayamat kam se kam

    daulat-e-gham ki farawani sahi

    daman-e-dil mein hai wusat kam se kam

    gham nahin jo chand yaaden sath thin

    kar to li dil ki hifazat kam se kam

    sina-chaaki umr bhar ki hai 'saba'

    zaKHm silne ki thi muddat kam se kam

    Source:

    Mere Hisse Ki Roshni (Pg. 82)

    • Author: Saba Akbarabadi
      • Edition: 2007
      • Publisher: Educational Publishing House
      • Year of Publication: 2007
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now