Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske dhyan ki dil mein pyas jaga li jae

Ambarin Salahuddin

uske dhyan ki dil mein pyas jaga li jae

Ambarin Salahuddin

MORE BYAmbarin Salahuddin

    us ke dhyān dil meñ pyaas jagā jaa.e

    ek bhī shaam na phir us ke naam se ḳhālī jaa.e

    ā.ankhoñ meñ kājal parat jamā jaa.e

    sakhiyoñ se yuuñ priit jot chhupā jaa.e

    ret hai sūraj hai vus.at hai tanhā.ī

    lekin naañ is dil ḳhām-ḳhayālī jaa.e

    ā.ankhoñ meñ bhar kar is dasht hairānī

    vahshat umda tasvīr banā jaa.e

    aap ne pahle bhī to mujh ko dekhā hogā!

    aap ke muñh se aap baat churā jaa.e

    sochoñ meñ girdāb se paḌne lag jaa.eñ

    ā.ankhoñ se phir aaTh pahar na laalī jaa.e

    dil-āzārī miTTī se īstāda ghar

    un be-faiz daroñ tak kaun savālī jaa.e

    us ke dhyan ki dil mein pyas jaga li jae

    ek bhi sham na phir us ke nam se KHali jae

    aaankhon mein kajal ki parat jama li jae

    sakhiyon se yun prit ki jot chhupa li jae

    ret hai suraj hai wusat hai tanhai

    lekin nan is dil ki KHam-KHayali jae

    aaankhon mein bhar kar is dasht ki hairani

    wahshat ki umda taswir bana li jae

    aap ne pahle bhi to mujh ko dekha hoga!

    aap ke munh se aap ki baat chura li jae

    sochon mein girdab se paDne lag jaen

    aaankhon se phir aaTh pahar na lali jae

    dil-azari ki miTTi se istada ghar

    un be-faiz daron tak kaun sawali jae

    Source:

    Monthly Adab-e-Latif (Pg. 119)

    • Author: Siddiqah Begum
      • Edition: 2012
      • Publisher: Aaftab Ahmed Chaudhry
      • Year of Publication: 2012
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now