uske didar mein nazar aaya
us ke dīdār meñ nazar aayā
chāñd afkār meñ nazar aayā
kar rahā thā talāsh chehre meñ
husn kirdār meñ nazar aayā
ham ne paayā na vo rafīq se jo
pyaar aġhyār meñ nazar aayā
'ishq karne kī ab kahāñ fursat
tū bhī bekār meñ nazar aayā
aa.ī baarī hisāb karne kī
ḳhauf zardār meñ nazar aayā
log dikhte haiñ sab pareshāñ hī
chain do chaar meñ nazar aayā
hijr kā un ke ai 'zafar' mere
karb ash'ār meñ nazar aayā
us ke didar mein nazar aaya
chand afkar mein nazar aaya
kar raha tha talash chehre mein
husn kirdar mein nazar aaya
hum ne paya na wo rafiq se jo
pyar aghyar mein nazar aaya
'ishq karne ki ab kahan fursat
tu bhi bekar mein nazar aaya
aai bari hisab karne ki
KHauf zardar mein nazar aaya
log dikhte hain sab pareshan hi
chain do chaar mein nazar aaya
hijr ka un ke ai 'zafar' mere
karb ash'ar mein nazar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.