Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske hasin ruKH pe ajab rang-o-nur tha

Abrar Kiratpuri

uske hasin ruKH pe ajab rang-o-nur tha

Abrar Kiratpuri

MORE BYAbrar Kiratpuri

    us ke hasīn ruḳh pe 'ajab rang-o-nūr thā

    kuchh bhī kaho vo sāhab-e-īmāñ zarūr thā

    ik mohtaram ne sab ko kiyā vāqif-e-hayāt

    insāñ ko us se pahle na koī shu'ūr thā

    matlab na thā kuchh us ko furū'āt-e-zīst se

    ‘ilm-o-ḳhirad us ko kuchh aisā surūr thā

    dekhā use to dekhtā dekhtā rahā

    mahv-e-jamāl aisā dil-e-nā-subūr thā

    hai chand-roza shai ye use kuchh ḳhabar na thī

    apne shabāb-o-husn pe itnā ġhurūr thā

    us ke hasin ruKH pe 'ajab rang-o-nur tha

    kuchh bhi kaho wo sahab-e-iman zarur tha

    ek mohtaram ne sab ko kiya waqif-e-hayat

    insan ko us se pahle na koi shu'ur tha

    matlab na tha kuchh us ko furu'at-e-zist se

    ‘ilm-o-KHirad ka us ko kuchh aisa surur tha

    dekha use to dekhta hi dekhta raha

    mahw-e-jamal aisa dil-e-na-subur tha

    hai chand-roza shai ye use kuchh KHabar na thi

    apne shabab-o-husn pe itna ghurur tha

    Source:

    (Pg. 35)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now