uske junun ka KHwab hai kin tabiron mein

Mohammad Ahmad Ramz

uske junun ka KHwab hai kin tabiron mein

Mohammad Ahmad Ramz

MORE BYMohammad Ahmad Ramz

  us ke junūñ ḳhvāb hai kin ta.abīroñ meñ

  achchhā vo lagtā hai jakḌā zanjīroñ meñ

  ab to mere lahū tak baat pahuñchtī hai

  kaun rañg bharūñ us tasvīroñ meñ

  ban jaate haiñ ek ḳhabar Dhah jaane

  apnā shumār bhī hai kachchī ta.amīroñ meñ

  us tarkash ḳhālī hone vaalā hai

  mere naam tiir hai kitne tīroñ meñ

  mujh se sīkho harf-o-navā jādūgarī

  DhūñD rahe ho kyā andhī tahrīroñ meñ

  mere zer-e-qadam hai 'ramz' iqlīm-e-suḳhan

  ik duniyā ye bhī hai mirī jāgīroñ meñ

  us ke junun ka KHwab hai kin tabiron mein

  achchha wo lagta hai jakDa zanjiron mein

  ab to mere lahu tak baat pahunchti hai

  kaun sa rang bharun us ki taswiron mein

  ban jate hain ek KHabar Dhah jaane ki

  apna shumar bhi hai kachchi tamiron mein

  us ka tarkash KHali hone wala hai

  mere nam ka tir hai kitne tiron mein

  mujh se sikho harf-o-nawa ki jadugari

  DhunD rahe ho kya andhi tahriron mein

  mere zer-e-qadam hai 'ramz' iqlim-e-suKHan

  ek duniya ye bhi hai meri jagiron mein

  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY