uske lab par hai fusun dil mein riya-kari hai
us ke lab par hai fusūñ dil meñ riyā-kārī hai
ye mohabbat to mohabbat kī adākārī hai
'ain mumkin hai charāġhoñ se madad lī jaa.e
aaj kī raat sitāroñ pe bahut bhārī hai
ye mirī aañkh kā darvāza hai ḳhasta kitnā
ye mire ḳhvāb kī TuuTī huī almārī hai
kaash mushkil koī ā'sāb pe taarī hotī
ye jo āsānī hai mere liye dushvārī hai
jis tarah dasht meñ ho ThanDī havā kā jhoñkā
tujh se milne pe 'ajab ruuh meñ sarshārī hai
maiñ ne jab us ko batāyā ki firāq aa.egā
to mere dil ne kahā aap kī tayyārī hai
us kī bātoñ kī mahak zinda hai dil meñ 'ārib'
us ke lahje kā fusūñ aaj talak taarī hai
us ke lab par hai fusun dil mein riya-kari hai
ye mohabbat to mohabbat ki adakari hai
'ain mumkin hai charaghon se madad li jae
aaj ki raat sitaron pe bahut bhaari hai
ye meri aankh ka darwaza hai KHasta kitna
ye mere KHwab ki TuTi hui almari hai
kash mushkil koi aa'sab pe tari hoti
ye jo aasani hai mere liye dushwari hai
jis tarah dasht mein ho ThanDi hawa ka jhonka
tujh se milne pe 'ajab ruh mein sarshaari hai
main ne jab us ko bataya ki firaq aaega
to mere dil ne kaha aap ki tayyari hai
us ki baaton ki mahak zinda hai dil mein 'arib'
us ke lahje ka fusun aaj talak tari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.