Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske liye kuchh bhi karo anjam shikayat

Basir Sultan Kazmi

uske liye kuchh bhi karo anjam shikayat

Basir Sultan Kazmi

MORE BYBasir Sultan Kazmi

    us ke liye kuchh bhī karo anjām shikāyat

    lagtā hai ki us to hai bas kaam shikāyat

    jo kuchh use darkār hai vo sab hai mayassar

    kis baat kartā hai vo gulfām shikāyat

    gulshan fazā meñ bhī ham āzād kahāñ the

    sayyād se karte jo tah-e-dām shikāyat

    ham ne na ḳhud ko kiyā tere liye tayyār

    tujh se nahīñ kuchh gardish-e-ayyām shikāyat

    har shaḳhs kartā hai shikāyat jo ai shaiḳh

    aisā na ho paḌ jaa.e tirā naam shikāyat

    mauqa na paaya kabhī tanhā.ī meñ varna

    karte na kabhī tujh se sar-e-ām shikāyat

    ham farsh-nashīñ ḳhush haiñ isī baat pe 'bāsir'

    pahuñchī to kisī taur lab-e-bām shikāyat

    us ke liye kuchh bhi karo anjam shikayat

    lagta hai ki us ka to hai bas kaam shikayat

    jo kuchh use darkar hai wo sab hai mayassar

    kis baat ki karta hai wo gulfam shikayat

    gulshan ki faza mein bhi hum aazad kahan the

    sayyaad se karte jo tah-e-dam shikayat

    hum ne hi na KHud ko kiya tere liye tayyar

    tujh se nahin kuchh gardish-e-ayyam shikayat

    har shaKHs ki karta hai shikayat jo tu ai shaiKH

    aisa na ho paD jae tera nam shikayat

    mauqa hi na paya kabhi tanhai mein warna

    karte na kabhi tujh se sar-e-am shikayat

    hum farsh-nashin KHush hain isi baat pe 'basir'

    pahunchi to kisi taur lab-e-baam shikayat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now