uske tan par baDi safai hai
us ke tan par baḌī safā.ī hai
dil meñ shāyad koī burā.ī hai
apne īmān kī hifāzat kar
ab to namrūd kī ḳhudā.ī hai
'aish haiñ apne rahnumāoñ ke
zindagī un ko raas aa.ī hai
apnī mā'sūmiyat meñ gum rah kar
'umr bhar ham ne maat khaa.ī hai
buzdilī kā subūt bante haiñ
āñsuoñ meñ yahī burā.ī hai
un ke she'roñ kī daad mil jaa.e
shā'iroñ kī yahī kamā.ī hai
ai 'anīs' is vatan se ulfat kī
ham ne qīmat baḌī chukā.ī hai
us ke tan par baDi safai hai
dil mein shayad koi burai hai
apne iman ki hifazat kar
ab to namrud ki KHudai hai
'aish hain apne rahnumaon ke
zindagi un ko ras aai hai
apni ma'sumiyat mein gum rah kar
'umr bhar hum ne mat khai hai
buzdili ka subut bante hain
aansuon mein yahi burai hai
un ke she'ron ki dad mil jae
sha'iron ki yahi kamai hai
ai 'anis' is watan se ulfat ki
hum ne qimat baDi chukai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.