uski chahat ki chandni hogi
us kī chāhat kī chāñdnī hogī
ḳhūb-sūrat sī zindagī hogī
ek laḌkī bahut se phuul liye
dil kī dahlīz par khaḌī hogī
chāhe jitne charāg gul kar do
ek ghar meñ to raushnī hogī
niiñd tairegī merī āñkhoñ ko
jab bhī ḳhvāboñ se dostī hogī
ham bahut duur the magar tum ne
dil kī āvāz to sunī hogī
sochtā huuñ ki vo kahāñ hogā
kis ke āñgan meñ chāñdnī hogī
us ki chahat ki chandni hogi
KHub-surat si zindagi hogi
ek laDki bahut se phul liye
dil ki dahliz par khaDi hogi
chahe jitne charag gul kar do
ek ghar mein to raushni hogi
nind tairegi meri aankhon ko
jab bhi KHwabon se dosti hogi
hum bahut dur the magar tum ne
dil ki aawaz to suni hogi
sochta hun ki wo kahan hoga
kis ke aangan mein chandni hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.