Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski chashm-e-karam thi hayat-afrin KHushk patton pe jaise nikhaar aa gaya

Jami Rudaulvi

uski chashm-e-karam thi hayat-afrin KHushk patton pe jaise nikhaar aa gaya

Jami Rudaulvi

MORE BYJami Rudaulvi

    us chashm-e-karam thī hayāt-āfrīñ ḳhushk pattoñ pe jaise nikhār aa gayā

    aarzū ke shagūfe mahakne lage dil be-chainiyoñ ko qarār aa gayā

    dasht-e-ġhurbat meñ bhī zānū-e-dost par merī tanhā.ī ko ye ta.assur huā

    bhūlā-bhaTkā huā ik musāfir koī yak-ba-yak jaise apne dayār aa gayā

    umr-bhar fikr-e-duniyā meñ ġhaltāñ rahe maare maare phire muft rusvā hue

    zindagī daf.atan zindagī ban ga.ī chaar āñkheñ huiiñ dil meñ pyaar aa gayā

    bāñkpan un mash.hūr thā merī dīvāngī par hamesha hañse

    lekin āñkhoñ se aañsū chhalakne lage sāmne jab hamārā mazār aa gayā

    jāntā huuñ kudūrat burī chiiz hai aap se dushmanī tavaqqo na thī

    duur honā bahut is dushvār hai dil ke ā.īne meñ jab ġhubār aa gayā

    zaḳhm bharne lage dard tham gayā ik sahārā milā dil ko Dhāras bañdhī

    us ke qaul-o-qasam meñ bhī ik baat thī jo bhī us ne kahā e'tibār aa gayā

    us ki chashm-e-karam thi hayat-afrin KHushk patton pe jaise nikhaar aa gaya

    aarzu ke shagufe mahakne lage dil ki be-chainiyon ko qarar aa gaya

    dasht-e-ghurbat mein bhi zanu-e-dost par meri tanhai ko ye tassur hua

    bhula-bhaTka hua ek musafir koi yak-ba-yak jaise apne dayar aa gaya

    umr-bhar fikr-e-duniya mein ghaltan rahe mare mare phire muft ruswa hue

    zindagi dafatan zindagi ban gai chaar aankhen huin dil mein pyar aa gaya

    bankpan un ka mashhur tha meri diwangi par hamesha hanse

    lekin aankhon se aansu chhalakne lage samne jab hamara mazar aa gaya

    jaanta hun kudurat buri chiz hai aap se dushmani ki tawaqqo na thi

    dur hona bahut is ka dushwar hai dil ke aaine mein jab ghubar aa gaya

    zaKHm bharne lage dard tham sa gaya ek sahaara mila dil ko Dhaaras bandhi

    us ke qaul-o-qasam mein bhi ek baat thi jo bhi us ne kaha e'tibar aa gaya

    Source:

    rukhsar-e-hayat (Pg. B-91 E-93)

    • Author: Jami Rudaulvi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now