Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa

Fasih Akmal

uski diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa

Fasih Akmal

MORE BYFasih Akmal

    us dīvār pe manqūsh hai vo harf-e-vafā

    jis ta.abīr ko ḳhvāboñ sahārā na milā

    merī tanhā.ī se uktā ke tirā naam bhī kal

    apne mustaqbil-e-tābāñ taraf lauT gayā

    jab ḳhayālāt mirā saath nahīñ dete haiñ

    dil meñ dar aatī hai chupke se vo mānūs sadā

    aise ḳhush-rañg sarāboñ sahārā kab tak

    muskurātā huuñ to detī hai tamannā ye sadā

    maiñ ne chāhā thā na.ī sub.h sūraj ban jā.ūñ

    duur tak dāman-e-shab aur bhī kuchh phail gayā

    phir ḳhudā.ī meñ hai kyuuñ ghor añdheroñ ko sabāt

    ham chalo maan ga.e ek tajallī hai ḳhudā

    sher kahtā huuñ to 'akmal' mirā dil kahtā hai

    fikr-e-āvāra pe alfāz chādar na chaḌhā

    us ki diwar pe manqush hai wo harf-e-wafa

    jis ki tabir ko KHwabon ka sahaara na mila

    meri tanhai se ukta ke tera nam bhi kal

    apne mustaqbil-e-taban ki taraf lauT gaya

    jab KHayalat mera sath nahin dete hain

    dil mein dar aati hai chupke se wo manus sada

    aise KHush-rang sarabon ka sahaara kab tak

    muskuraata hun to deti hai tamanna ye sada

    main ne chaha tha nai subh ka suraj ban jaun

    dur tak daman-e-shab aur bhi kuchh phail gaya

    phir KHudai mein hai kyun ghor andheron ko sabaat

    hum chalo man gae ek tajalli hai KHuda

    sher kahta hun to 'akmal' mera dil kahta hai

    fikr-e-awara pe alfaz ki chadar na chaDha

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 460)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now