Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uski ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

Ibrahim Ashk

uski ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

Ibrahim Ashk

MORE BYIbrahim Ashk

    us ik duniyā huuñ maiñ aur merī ik duniyā hai vo

    dasht meñ tanhā huuñ maiñ aur shahr meñ tanhā hai vo

    maiñ bhī kaisā aa.ina huuñ ā.ina-dar-ā.ina

    duur tak chehrā-ba-chehrā bas nazar aatā hai vo

    us ḳhush-bū se mahak kar phuul ban jaatā hai dil

    mausam-e-gul tarah aatā hai vo jaatā hai vo

    zindagī apnī musalsal chāhatoñ ik safar

    is safar meñ bār-hā mil kar bichhaḌ jaatā hai vo

    ḳhvāb kyā hai ik khañDar hai ye khañDar kitnā hasīñ

    is khañDar meñ sair karne ke liye aatā hai vo

    maiñ sarāpā aarzū huuñ ārzū-e-nā-tamām

    mujh ko har manzil se aage ḳhabar detā hai vo

    husn kyā hai ik ġhazal hai 'ashk' ik taaza ġhazal

    jaam hai miinā hai vo sāġhar hai vo sahbā hai vo

    us ki ek duniya hun main aur meri ek duniya hai wo

    dasht mein tanha hun main aur shahr mein tanha hai wo

    main bhi kaisa aaina hun aaina-dar-aina

    dur tak chehra-ba-chehra bas nazar aata hai wo

    us ki KHush-bu se mahak kar phul ban jata hai dil

    mausam-e-gul ki tarah aata hai wo jata hai wo

    zindagi apni musalsal chahaton ka ek safar

    is safar mein bar-ha mil kar bichhaD jata hai wo

    KHwab kya hai ek khanDar hai ye khanDar kitna hasin

    is khanDar mein sair karne ke liye aata hai wo

    main sarapa aarzu hun aarzu-e-na-tamam

    mujh ko har manzil se aage ki KHabar deta hai wo

    husn kya hai ek ghazal hai 'ashk' ek taza ghazal

    jam hai mina hai wo saghar hai wo sahba hai wo

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Ibrahim Ashk

    Ibrahim Ashk

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now