uski khiDki se raushni aai
us kī khiḌkī se raushnī aa.ī
shahr meñ phir se zindagī aa.ī
jab ḳhayālāt ho ga.e būḌhe
tab mohabbat pe kam-sinī aa.ī
vo na bolā to aaj kānoñ meñ
jo sadā aa.ī ajnabī aa.ī
baaqī sab shahr ho gayā ġhā.eb
sāmne jab tirī galī aa.ī
mujh ko aayā na haath phailānā
mere hisse meñ shā'irī aa.ī
is liye bhī karāhtā huuñ maiñ
koī āvāz de abhī aa.ī
gar havā aa.ī bhī shab-e-furqat
to charāġhoñ ko DhūñDhtī aa.ī
us ki khiDki se raushni aai
shahr mein phir se zindagi aai
jab KHayalat ho gae buDhe
tab mohabbat pe kam-sini aai
wo na bola to aaj kanon mein
jo sada aai ajnabi aai
baqi sab shahr ho gaya ghaeb
samne jab teri gali aai
mujh ko aaya na hath phailana
mere hisse mein sha'iri aai
is liye bhi karahta hun main
koi aawaz de abhi aai
gar hawa aai bhi shab-e-furqat
to charaghon ko DhunDhti aai
- Book : Hijr Ki Dusri Dawa (Pg. 32)
- Author : Fahmi Badayuni
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.