uski mahfil mein ja ke lauT aae
us kī mahfil meñ jā ke lauT aa.e
ham bhī chehra dikhā ke lauT aa.e
tilmilāne kī baat thī jis par
ham faqat muskurā ke lauT aa.e
ham ga.e the butoñ kī bastī meñ
ḳhud ko ik but banā ke lauT aa.e
kuchh bhī rakkhā nahīñ bayābāñ meñ
ham bhī kuchh din bitā ke lauT aa.e
qissa-goī kā hī zamāna thā
ham bhī qisse sunā ke lauT aa.e
vo bhī dāman bachā ke guzrā thā
ham bhī nazreñ churā ke lauT aa.e
ham jo duniyā badalne nikle the
sirf fitna uThā ke lauT aa.e
us ki mahfil mein ja ke lauT aae
hum bhi chehra dikha ke lauT aae
tilmilane ki baat thi jis par
hum faqat muskura ke lauT aae
hum gae the buton ki basti mein
KHud ko ek but bana ke lauT aae
kuchh bhi rakkha nahin bayaban mein
hum bhi kuchh din bita ke lauT aae
qissa-goi ka hi zamana tha
hum bhi qisse suna ke lauT aae
wo bhi daman bacha ke guzra tha
hum bhi nazren chura ke lauT aae
hum jo duniya badalne nikle the
sirf fitna uTha ke lauT aae
- Book : Raushni Jaari Karo (Pg. 95)
- Author : Manish Shukla
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.